Saturday, March 1, 2014

Aaj fir teri yaad aayi

"Kisi ko ghar mila hisse me, kisi ke paas dukaan aayi,
main ghar me sabse chhota tha, mere hisse me maa aayi."
                                                      - Munawwar Rana


Doston ke beech tanha rehne ki fursat kahan,
laut gaye jab sab ghar, to teri yaad aayi. 


Naye shehero ki chamak bulati rahi humein,
paaya jab andhera, to teri yaad aayi. 


Haste chehro ki bheed me khud ko bhula diya,
dhoond na paye jab khud ki pehchaan, to teri yaad aayi. 


Jashn ke shor me sabke saath hum bhi chillate rahe,
hua jab bhi sannata, to teri yaad aayi. 


Duur makaamo ki hod me, la-haasil is daud me, hamesha waqt ko dosh diya,
thak ke rukna pada jab, to teri yaad aayi.


Ab hoti hai tabiyat kharab, to koi nahi haal poochta hai,
aaj hua thoda zukhaam, to fir teri yaad aayi. 


- Kartik

No comments:

Post a Comment